dil musafir bana ke chhoDega
dil musāfir banā ke chhoḌegā
pāgal āḳhir banā ke chhoḌegā
terī āñkhoñ kā ye tilism sanam
mujh ko shā'ir banā ke chhoḌegā
tujh se be-intihā ye 'ishq mirā
mujh ko kāfir banā ke chhoḌegā
roz-o-shab ye mutāle'a karnā
fan meñ māhir banā ke chhoḌegā
dil vo degā magar sharā.it par
mujh ko tājir banā ke chhoḌegā
aaj phir us ne dil ko dā'vat dī
qais vo phir banā ke chhoḌegā
qaid kar legā dil ke piñjre meñ
apnā taa.ir banā ke chhoḌegā
dil musafir bana ke chhoDega
pagal aaKHir bana ke chhoDega
teri aankhon ka ye tilism sanam
mujh ko sha'ir bana ke chhoDega
tujh se be-intiha ye 'ishq mera
mujh ko kafir bana ke chhoDega
roz-o-shab ye mutale'a karna
fan mein mahir bana ke chhoDega
dil wo dega magar sharait par
mujh ko tajir bana ke chhoDega
aaj phir us ne dil ko da'wat di
qais wo phir bana ke chhoDega
qaid kar lega dil ke pinjre mein
apna tair bana ke chhoDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.