dil nahin hai aur tera gham KHub hai apni jagah
dil nahīñ hai aur tirā ġham ḳhuub hai apnī jagah
ḳhārij-ul-karbal bhī mātam ḳhuub hai apnī jagah
ye pasīne kā bhī haq thā jism par chamke tire
pankhuḌī par aaj shabnam ḳhuub hai apnī jagah
saañs aa.e yā na aa.e haiñ sabhī naġhma-sarā
bulbuloñ kī naak meñ dam ḳhuub hai apnī jagah
'aks kī sūrat har ik din husn badle hai mizāj
aur ā.īne sā 'ālam ḳhuub hai apnī jagah
kyā kabhī jal kar bujhī hai apne dam se koī sham'
zaḳhm-e-'īsā-ibn-e-mariyam ḳhuub hai apnī jagah
zindagī hai chaak par chaḌhnā utarnā maut hai
aadmī kī ḳhaak mub.ham ḳhuub hai apnī jagah
ḳhuub hai shahr-e-suḳhan meñ sair ko jaatā 'mirāsh'
aur ‘abdullāh-akram' ḳhuub hai apnī jagah
dil nahin hai aur tera gham KHub hai apni jagah
KHarij-ul-karbal bhi matam KHub hai apni jagah
ye pasine ka bhi haq tha jism par chamke tere
pankhuDi par aaj shabnam KHub hai apni jagah
sans aae ya na aae hain sabhi naghma-sara
bulbulon ki nak mein dam KHub hai apni jagah
'aks ki surat har ek din husn badle hai mizaj
aur aaine sa 'alam KHub hai apni jagah
kya kabhi jal kar bujhi hai apne dam se koi sham'
zaKHm-e-'isa-ibn-e-mariyam KHub hai apni jagah
zindagi hai chaak par chaDhna utarna maut hai
aadmi ki KHak mubham KHub hai apni jagah
KHub hai shahr-e-suKHan mein sair ko jata 'mirash'
aur ‘abdullah-akram' KHub hai apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.