dil-o-dimagh mein Dhalte rahe sawal bahut
dil-o-dimāġh meñ Dhalte rahe savāl bahut
ġhazab kī aag thī jalte rahe savāl bahut
javāb milne kī sūrat na thī koī lekin
har ek lab se nikalte rahe savāl bahut
nigāh-e-husn se aayā na jab javāb koī
nigāh-e-'ishq meñ palte rahe savāl bahut
vo jis ke paas zaḳhīra thā sab javāboñ kā
usī kī bazm meñ Talte rahe savāl bahut
ḳhudā ne baḳhshī thī mujh ko kamāl kī garmī
mire lahū meñ pighalte rahe savāl bahut
safar tamām huā ruk ga.e qadam phir bhī
rah-e-hayāt meñ chalte rahe savāl bahut
agarche mil ga.ī āḳhir kisī samundar meñ
nadī ke dil meñ sulagte rahe savāl bahut
usī ke dam se 'kañval' zindagī meñ raunaq thī
vo jis ke dam se machalte rahe savāl bahut
dil-o-dimagh mein Dhalte rahe sawal bahut
ghazab ki aag thi jalte rahe sawal bahut
jawab milne ki surat na thi koi lekin
har ek lab se nikalte rahe sawal bahut
nigah-e-husn se aaya na jab jawab koi
nigah-e-'ishq mein palte rahe sawal bahut
wo jis ke pas zaKHira tha sab jawabon ka
usi ki bazm mein Talte rahe sawal bahut
KHuda ne baKHshi thi mujh ko kamal ki garmi
mere lahu mein pighalte rahe sawal bahut
safar tamam hua ruk gae qadam phir bhi
rah-e-hayat mein chalte rahe sawal bahut
agarche mil gai aaKHir kisi samundar mein
nadi ke dil mein sulagte rahe sawal bahut
usi ke dam se 'kanwal' zindagi mein raunaq thi
wo jis ke dam se machalte rahe sawal bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.