aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil par wafa ka bojh uThate rahe hain hum

Shahab Jafri

dil par wafa ka bojh uThate rahe hain hum

Shahab Jafri

MORE BYShahab Jafri

    dil par vafā bojh uThāte rahe haiñ ham

    apnā har imtiyāz miTāte rahe haiñ ham

    muñh par jo ye jale hue dāman raakh hai

    sho.aloñ meñ zindagī ke nahāte rahe haiñ ham

    itnā na khul sakā ki havā kis taraf hai

    saare jahāñ ḳhaak uḌāte rahe haiñ ham

    āñkhoñ se dil tak ek jahān-e-sukūt hai

    sunte haiñ is dayār se jaate rahe haiñ ham

    terā ḳhayāl māne-e-arz-e-hunar huā

    kis kis tarah se ko jalāte rahe haiñ ham

    kis sadā sunī thī ki chup lag ga.ī 'shahāb'

    sātoñ suroñ bhed gañvāte rahe haiñ ham

    dil par wafa ka bojh uThate rahe hain hum

    apna har imtiyaz miTate rahe hain hum

    munh par jo ye jale hue daman ki rakh hai

    shoalon mein zindagi ke nahate rahe hain hum

    itna na khul saka ki hawa kis taraf ki hai

    sare jahan ki KHak uDate rahe hain hum

    aankhon se dil tak ek jahan-e-sukut hai

    sunte hain is dayar se jate rahe hain hum

    tera KHayal mane-e-arz-e-hunar hua

    kis kis tarah se ji ko jalate rahe hain hum

    kis ki sada suni thi ki chup lag gai 'shahab'

    saton suron ka bhed ganwate rahe hain hum

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 680)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now