dil pe raushan ek daricha kya hua
dil pe raushan ik darīcha kyā huā
band ham par ghar kā darvāza huā
is tarah dekhā tujhe kal ḳhvāb meñ
ḳhvāb pe tā'bīr kā dhokā huā
tak rahā hai āsmāñ ko āsmāñ
jhiil kī āġhosh meñ simTā huā
ai havā-e-gulsitāñ ḳhush-āmdīd
yaad to aayā koī bhūlā huā
jis taraf jaatā hai dil kā rāsta
us taraf bhī kyā kabhī jaanā huā
rāste lagte haiñ kyoñ chalte hue
kārvāñ lagtā hai kyoñ Thahrā huā
zindagī kitnī subuk-raftār hai
ḳhud se mil kar aaj andāza huā
dekhiye kyā vaqt kī parchhā.iyāñ
joḌiye kyā aa.ina TuuTā huā
jaane vaale dil se jab jaate nahīñ
phir yahāñ āñkhoñ se ojhal kyā huā
bun rahā huuñ jaane kin lamhoñ ke ḳhvāb
vaqt kī dahlīz par baiThā huā
hai zamīñ oḌhe hue gard-o-ġhubār
āsmāñ par chāñd hai niklā huā
is tarah bastī hai koī bastiyāñ
rāste sunsān dil ujḌā huā
vo havā-e-kū-e-jānāñ kyā huī
vo ġhubār-e-rāh-paimā kyā huā
tū ne dekhā hī nahīñ shām-e-firāq
ḳhema-e-dil se dhuāñ uThtā huā
ik taraf hai turra-e-nām-o-nasab
ik taraf taqdīr kā likkhā huā
koī to naqsh-e-qadam aa.e nazar
sarhad-e-idrāk se niklā huā
pūchhiye kis se yahāñ rahtā hai kaun
vo jo rahtā thā yahāñ vo kyā huā
ye bhī mumkin hai udhar koī na ho
aur ho bas aa.ina rakhā huā
aane vaale vaqt kī āvāz huuñ
maiñ nahīñ lamha koī guzrā huā
kar rahā huuñ aap ḳhud apnā tavāf
phir rahā huuñ ghar meñ baulāyā huā
dil pe raushan ek daricha kya hua
band hum par ghar ka darwaza hua
is tarah dekha tujhe kal KHwab mein
KHwab pe ta'bir ka dhoka hua
tak raha hai aasman ko aasman
jhil ki aaghosh mein simTa hua
ai hawa-e-gulsitan KHush-amdid
yaad to aaya koi bhula hua
jis taraf jata hai dil ka rasta
us taraf bhi kya kabhi jaana hua
raste lagte hain kyon chalte hue
karwan lagta hai kyon Thahra hua
zindagi kitni subuk-raftar hai
KHud se mil kar aaj andaza hua
dekhiye kya waqt ki parchhaiyan
joDiye kya aaina TuTa hua
jaane wale dil se jab jate nahin
phir yahan aankhon se ojhal kya hua
bun raha hun jaane kin lamhon ke KHwab
waqt ki dahliz par baiTha hua
hai zamin oDhe hue gard-o-ghubar
aasman par chand hai nikla hua
is tarah basti hai koi bastiyan
raste sunsan dil ujDa hua
wo hawa-e-ku-e-jaanan kya hui
wo ghubar-e-rah-paima kya hua
tu ne dekha hi nahin sham-e-firaq
KHema-e-dil se dhuan uThta hua
ek taraf hai turra-e-nam-o-nasab
ek taraf taqdir ka likkha hua
koi to naqsh-e-qadam aae nazar
sarhad-e-idrak se nikla hua
puchhiye kis se yahan rahta hai kaun
wo jo rahta tha yahan wo kya hua
ye bhi mumkin hai udhar koi na ho
aur ho bas aaina rakha hua
aane wale waqt ki aawaz hun
main nahin lamha koi guzra hua
kar raha hun aap KHud apna tawaf
phir raha hun ghar mein baulaya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.