dil se sunega kaun yahan par bayan-e-dil
dil se sunegā kaun yahāñ par bayān-e-dil
kis ke huzūr pesh karūñ armuġhān-e-dil
bād-e-muḳhālifāñ kī sa'ī rā.egāñ ga.ī
khulne ko musta'id hī nahīñ bādbān-e-dil
uktā ke har makīn ne hijrat kī Thaan lī
kitnī ḳharāsheñ aa ga.ī haiñ darmiyān-e-dil
us ne baḌhā lī ġhair se rasm-o-rah-e-ḳhirad
ham ne sajānā chhoḌ diyā hai makān-e-dil
sāya-fagan hai naqsh-e-kaf-e-pā-e-mustafā
manzil kī ḳhaak fikr kare kārvān-e-dil
ruk jā abhī na rahm-o-karam kī nigāh kar
ujḌegā be-hisāb abhī gulsitān-e-dil
har dam use 'azīz hai paakī nigāh kī
ḳhuuñ se likhī huī hai mirī dāstān-e-dil
dil se sunega kaun yahan par bayan-e-dil
kis ke huzur pesh karun armughan-e-dil
baad-e-muKHalifan ki sa'i raegan gai
khulne ko musta'id hi nahin baadban-e-dil
ukta ke har makin ne hijrat ki Than li
kitni KHarashen aa gai hain darmiyan-e-dil
us ne baDha li ghair se rasm-o-rah-e-KHirad
hum ne sajaana chhoD diya hai makan-e-dil
saya-fagan hai naqsh-e-kaf-e-pa-e-mustafa
manzil ki KHak fikr kare karwan-e-dil
ruk ja abhi na rahm-o-karam ki nigah kar
ujDega be-hisab abhi gulsitan-e-dil
har dam use 'aziz hai paki nigah ki
KHun se likhi hui hai meri dastan-e-dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.