Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil shahid-e-rah-e-daman na hua tha so hua

Haidar Ali Aatish

dil shahid-e-rah-e-daman na hua tha so hua

Haidar Ali Aatish

MORE BYHaidar Ali Aatish

    dil shahīd-e-rah-e-dāmāñ na huā thā so huā

    TukḌe TukḌe jo garebāñ na huā thā so huā

    barq be-nūr hai us ruḳh chamak ke aage

    ālam-e-nūr insāñ na huā thā so huā

    rone par mere huā hañs ke vo gul sharminda

    ġhuncha saañ sar-ba-garebāñ na huā thā so huā

    maiñ ne rangīñ na kiyā us taḌap kar dāman

    sar-e-jallād pe ehsāñ na huā thā so huā

    ho gayā dekh ke qaazī bhī taraf-dār us

    be-gunah ḳhūn-e-musalmāñ na huā thā so huā

    har zabāñ par mirī rusvā.ī afsāna hai

    nusḳha-e-shauq pareshāñ na huā thā so huā

    araq-ālūda jabīñ dekh kai dil Duub gayā

    shabnam-e-bāġh se tūfāñ na huā thā so huā

    qatl kar ke mujhe talvār ko toḌā us ne

    ḳhūn-e-nāhaq se pashemāñ na huā thā so huā

    yaar ke rū-e-kitābī karūñ kyā tārīf

    baa'd qur.āñ ke jo qur.āñ na huā thā so huā

    aañsū āñkhoñ se nikaltā hai so chingārī hai

    parda-e-dil se numāyāñ na huā thā so huā

    ātish-e-ishq se hai daaġh sarāpā merā

    aadmī sarv-e-charāġhāñ na huā thā so huā

    gard-e-rah ban ke huā sandal-e-peshānī-e-yār

    zarra ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ na huā thā so huā

    pahroñ misra.a-e-saudā hai rulātā 'ātish'

    tujhe ai dīda-e-giryāñ na huā thā so huā

    dil shahid-e-rah-e-daman na hua tha so hua

    TukDe TukDe jo gareban na hua tha so hua

    barq be-nur hai us ruKH ki chamak ke aage

    aalam-e-nur ka insan na hua tha so hua

    rone par mere hua hans ke wo gul sharminda

    ghuncha san sar-ba-gareban na hua tha so hua

    main ne rangin na kiya us ka taDap kar daman

    sar-e-jallad pe ehsan na hua tha so hua

    ho gaya dekh ke qazi bhi taraf-dar us ka

    be-gunah KHun-e-musalman na hua tha so hua

    har zaban par meri ruswai ka afsana hai

    nusKHa-e-shauq pareshan na hua tha so hua

    araq-aluda jabin dekh kai dil Dub gaya

    shabnam-e-bagh se tufan na hua tha so hua

    qatl kar ke mujhe talwar ko toDa us ne

    KHun-e-nahaq se pasheman na hua tha so hua

    yar ke ru-e-kitabi ki karun kya tarif

    ba'd quran ke jo quran na hua tha so hua

    aansu aankhon se nikalta hai so chingari hai

    parda-e-dil se numayan na hua tha so hua

    aatish-e-ishq se hai dagh sarapa mera

    aadmi sarw-e-charaghan na hua tha so hua

    gard-e-rah ban ke hua sandal-e-peshani-e-yar

    zarra KHurshid-e-daraKHshan na hua tha so hua

    pahron hi misra-e-sauda hai rulata 'atish'

    tujhe ai dida-e-giryan na hua tha so hua

    Source:

    Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish (Pg. 28)

    • Author: Haidar Ali Aatish
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now