Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil unki mohabbat ka jo diwana lage hai

Abdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi

dil unki mohabbat ka jo diwana lage hai

Abdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi

MORE BYAbdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi

    dil un mohabbat jo dīvāna lage hai

    ye aisī haqīqat hai jo afsāna lage hai

    aalam na koī pūchhe mirī vahshat-e-dil

    ghar apne agar jā.ūñ to vīrāna lage hai

    baḌhte nahīñ kyuuñ mere qadam aage jānib

    nazdīk shāyad dar-e-jānāna lage hai

    vaise to kisī ne mujhe aisā nahīñ jaanā

    dīvāna kahā tum ne to dīvāna lage hai

    rūdād-e-alam un se jo qāsid ne bayāñ

    farmāne lage hañs ke ye afsāna lage hai

    maiñ ne to banā.ī thī faqat aap tasvīr

    dil merā magar aaj sanam-ḳhāna lage hai

    ab apnā bhī begāna nazar aatā hai 'vasfī'

    begāna to begāna hai begāna lage hai

    dil un ki mohabbat ka jo diwana lage hai

    ye aisi haqiqat hai jo afsana lage hai

    aalam na koi puchhe meri wahshat-e-dil ka

    ghar apne agar jaun to virana lage hai

    baDhte nahin kyun mere qadam aage ki jaanib

    nazdik hi shayad dar-e-jaanana lage hai

    waise to kisi ne mujhe aisa nahin jaana

    diwana kaha tum ne to diwana lage hai

    rudad-e-alam un se jo qasid ne bayan ki

    farmane lage hans ke ye afsana lage hai

    main ne to banai thi faqat aap ki taswir

    dil mera magar aaj sanam-KHana lage hai

    ab apna bhi begana nazar aata hai 'wasfi'

    begana to begana hai begana lage hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now