dil waswason se ghir gaya par jaan to gaya
dil vasvasoñ se ghir gayā par jaan to gayā
tark-e-ta'alluqāt kā imkān to gayā
ehsān aap kā ki mirī āñkheñ khul ga.ī
mar kar sahī maiñ aap ko pahchān to gayā
duniyā bahut 'ajīb hai is se 'ajīb ye
lāsha chhupā ke kahtī hai mehmān to gayā
kyā fā.eda gar aap kī dastār bach ga.ī
gardan batā rahī hai garebān to gayā
jo bhī hai jaisā bhī tirā mauqa' hai āḳhirī
mushkil banegā khel ab āsān to gayā
vaise to kitne she'r kahūñ huuñ ravānī meñ
par she'r tujh pe kahne kā armān to gayā
varna to zindagī tirī tanhā guzarnī thī
'sayyad' ḳhudā kā shukr koī maan to gayā
dil waswason se ghir gaya par jaan to gaya
tark-e-ta'alluqat ka imkan to gaya
ehsan aap ka ki meri aankhen khul gai
mar kar sahi main aap ko pahchan to gaya
duniya bahut 'ajib hai is se 'ajib ye
lasha chhupa ke kahti hai mehman to gaya
kya faeda gar aap ki dastar bach gai
gardan bata rahi hai gareban to gaya
jo bhi hai jaisa bhi tera mauqa' hai aaKHiri
mushkil banega khel ab aasan to gaya
waise to kitne she'r kahun hun rawani mein
par she'r tujh pe kahne ka arman to gaya
warna to zindagi teri tanha guzarni thi
'sayyad' KHuda ka shukr koi man to gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.