dil ye samjho ki khoya to pal bhar mein tha
dil ye samjho ki khoyā to pal bhar meñ thā
par vo lamha to sāloñ se manzar meñ thā
ek dariyā ne chhoḌā thā tanhā jise
ab vo qatra kahīñ ik samundar meñ thā
maiñ nahīñ kah rahā us kā patthar hai dil
par ye mumkin haiñ dil us kā patthar meñ thā
jis ke ḳhātir hī sūraj jalā 'umr-bhar
chāñd vo raat ke bas muqaddar meñ thā
saath us ke kahīñ maiñ pahāḌoñ meñ huuñ
niiñd TuuTī to dekhā ki bistar meñ thā
maiñ to martā huā bhī du'ā de gayā
ḳhuun dekhā jo us ke hī ḳhanjar meñ thā
dil ye samjho ki khoya to pal bhar mein tha
par wo lamha to salon se manzar mein tha
ek dariya ne chhoDa tha tanha jise
ab wo qatra kahin ek samundar mein tha
main nahin kah raha us ka patthar hai dil
par ye mumkin hain dil us ka patthar mein tha
jis ke KHatir hi suraj jala 'umr-bhar
chand wo raat ke bas muqaddar mein tha
sath us ke kahin main pahaDon mein hun
nind TuTi to dekha ki bistar mein tha
main to marta hua bhi du'a de gaya
KHun dekha jo us ke hi KHanjar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.