aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilli ke bich hae akele marenge hum

Abroo Shah Mubarak

dilli ke bich hae akele marenge hum

Abroo Shah Mubarak

MORE BYAbroo Shah Mubarak

    dillī ke biich haa.e akele mareñge ham

    tum āgare chale ho sajan kyā kareñge ham

    yuuñ sohbatoñ kuuñ pyaar ḳhālī jo kar chale

    ai mehrbān kyūñki kahūñ din phireñge ham

    jin jin ko le chale ho sajan saath un samet

    hāfiz rahe ḳhudā ke havāle kareñge ham

    bhūloge tum agarche sadā rañg-jī hameñ

    to naañv bain-bain ke tum ko dhareñge ham

    iḳhlās meñ katā hai tumheñ 'ābrū' abhī

    aa.e na tum shitāb to tum siiñ laḌeñge ham

    dilli ke bich hae akele marenge hum

    tum aagare chale ho sajan kya karenge hum

    yun sohbaton kun pyar ki KHali jo kar chale

    ai mehrban kyunki kahun din phirenge hum

    jin jin ko le chale ho sajan sath un samet

    hafiz rahe KHuda ke hawale karenge hum

    bhuloge tum agarche sada rang-ji hamein

    to nanw bain-bain ke tum ko dharenge hum

    iKHlas mein kata hai tumhein 'abru' abhi

    aae na tum shitab to tum sin laDenge hum

    Source:

    Deewan-e-Aabro (Pg. 176)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now