dilon ke khel mein bhi kaam le liya dimagh se
diloñ ke khel meñ bhī kaam le liyā dimāġh se
churā liyā hai phuul maiñ ne zindagī ke baaġh se
vo jāntā hai ḳhāmushī se rāste nikālnā
savāl kyā kareñ bhalā ham aise ḳhush-dimāġh se
tumhārī chhāoñ pā ke dil kuchh itnā mutma.in hai ab
na manziloñ se kaam hai na raah ke surāġh se
bikhertā hai raushnī ridā-e-āsmāñ se vo
sitāre jaise oḌhnī meñ paḌ ga.e hoñ daaġh se
maiñ rang rang thā udāsiyoñ kā koī qāfila
maiñ nuur nuur huuñ tumhāre 'ishq ke charāġh se
dilon ke khel mein bhi kaam le liya dimagh se
chura liya hai phul main ne zindagi ke bagh se
wo jaanta hai KHamushi se raste nikalna
sawal kya karen bhala hum aise KHush-dimagh se
tumhaari chhaon pa ke dil kuchh itna mutmain hai ab
na manzilon se kaam hai na rah ke suragh se
bikherta hai raushni rida-e-asman se wo
sitare jaise oDhni mein paD gae hon dagh se
main rang rang tha udasiyon ka koi qafila
main nur nur hun tumhaare 'ishq ke charagh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.