dilon ki sada ka tarana wo kya tha
diloñ kī sadā kā tarāna vo kyā thā
sanam 'āshiqī kā zamāna vo kyā thā
maza mai-kashī kā rahā hī kahāñ ab
nigāhoñ se pyāle pilānā vo kyā thā
mukammal nahīñ jo huā aaj tak hī
sanam 'āshiqī kā fasāna vo kyā thā
sitam sab zamāne ke ham bhuul baiThe
tirā bas gale se lagānā vo kyā thā
sanam raaz saare khule zindagī ke
tirā ruḳh se pardā uThānā vo kyā thā
sanam aaj bhī hai sadā dil meñ qaa.em
mohabbat se mujh ko bulānā vo kyā thā
milā jis safar pe tumheñ jānāñ 'rāhī'
agar yaad ho ki Thikānā vo kyā thā
dilon ki sada ka tarana wo kya tha
sanam 'ashiqi ka zamana wo kya tha
maza mai-kashi ka raha hi kahan ab
nigahon se pyale pilana wo kya tha
mukammal nahin jo hua aaj tak hi
sanam 'ashiqi ka fasana wo kya tha
sitam sab zamane ke hum bhul baiThe
tera bas gale se lagana wo kya tha
sanam raaz sare khule zindagi ke
tera ruKH se parda uThana wo kya tha
sanam aaj bhi hai sada dil mein qaem
mohabbat se mujh ko bulana wo kya tha
mila jis safar pe tumhein jaanan 'rahi'
agar yaad ho ki Thikana wo kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.