din bhar ke baad chaliye to kuchh der ghar ko bhi
din bhar ke baa'd chaliye to kuchh der ghar ko bhī
ārām karne dījiye gard-e-safar ko bhī
kār-e-rafū ne mujh ko kahīñ kā nahīñ rakhā
afsos sī chukā huuñ maiñ zaḳhm-e-hunar ko bhī
go sar-ba-sar nidā hī nidā hai magar ye dil
muḳhbir ko bhī sañbhāle hue hai ḳhabar ko bhī
halqa baḌhā rahā huuñ kuchh apne hī ḳhvāb kā
ābād kar rahā huuñ maiñ terī nazar ko bhī
kuchh yuuñ bhī rang laayā maiñ rangoñ kī oT meñ
mujh se hijāb aayā mire naqsh-gar ko bhī
ye dekh merā dar mirī dīvār mere taaq
maiñ ghar hī jāntā huuñ tirī rahguzar ko bhī
go ibtidā-e-vaqt se pahle kā fard huuñ
daryāft kar chukā huuñ maiñ shām-o-sahar ko bhī
din bhar ke ba'd chaliye to kuchh der ghar ko bhi
aaram karne dijiye gard-e-safar ko bhi
kar-e-rafu ne mujh ko kahin ka nahin rakha
afsos si chuka hun main zaKHm-e-hunar ko bhi
go sar-ba-sar nida hi nida hai magar ye dil
muKHbir ko bhi sanbhaale hue hai KHabar ko bhi
halqa baDha raha hun kuchh apne hi KHwab ka
aabaad kar raha hun main teri nazar ko bhi
kuchh yun bhi rang laya main rangon ki oT mein
mujh se hijab aaya mere naqsh-gar ko bhi
ye dekh mera dar meri diwar mere taq
main ghar hi jaanta hun teri rahguzar ko bhi
go ibtida-e-waqt se pahle ka fard hun
daryaft kar chuka hun main sham-o-sahar ko bhi
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 110)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.