din gae ishq mein ab milne-milane wale
din ga.e 'ishq meñ ab milne-milāne vaale
ab na lauTeñge tire shahr se jaane vaale
kis ko mā'lūm ki us but kī kahānī kyā hai
kitne qisse to batāte haiñ batāne vaale
maiñ ne aksar nazar-andāz kiyā hai varna
us meñ milte haiñ ka.ī rang zamāne vaale
āñkhoñ ke ziine se maiñ dil meñ utar jā.uñgā
kab talak aañkh churāeñge churāne vaale
gard baiThī hai mire jism ke sahrāoñ meñ
log milte hī nahīñ ḳhaak uḌāne vaale
dāstāñ merī faqat merī nahīñ hotī hai
apnā bhī dard milāte haiñ sunāne vaale
din gae 'ishq mein ab milne-milane wale
ab na lauTenge tere shahr se jaane wale
kis ko ma'lum ki us but ki kahani kya hai
kitne qisse to batate hain batane wale
main ne aksar nazar-andaz kiya hai warna
us mein milte hain kai rang zamane wale
aankhon ke zine se main dil mein utar jaunga
kab talak aankh churaenge churane wale
gard baiThi hai mere jism ke sahraon mein
log milte hi nahin KHak uDane wale
dastan meri faqat meri nahin hoti hai
apna bhi dard milate hain sunane wale
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 123)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.