Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din guzarta hai talash-e-yar mein

Riyaz Hasan Khan Khayal

din guzarta hai talash-e-yar mein

Riyaz Hasan Khan Khayal

MORE BYRiyaz Hasan Khan Khayal

    din guzartā hai talāsh-e-yār meñ

    kaTtī hai shab hasrat-e-dīdār meñ

    jins-e-dil hai paas to gāhak bahut

    koī aa jā.egā bāzār meñ

    kis ke naqsh-e-pā ke yā-rab hai nishāñ

    gul khile haiñ kūcha-e-aġhyār meñ

    haa.e jazb-e-ishq nairangiyāñ

    hazrat-e-yūsuf bike bāzār meñ

    dekhne ko haal kab aa.e haiñ aap

    haal jab baaqī nahīñ bāzār meñ

    ab shabāb aaya to farq aane lagā

    aap guftār meñ raftār meñ

    shahr meñ huuñ kyā kamī mā'shūq

    ḳhūb-rū haiñ saiñkaḌoñ bāzār meñ

    shauq se bismil ragaḌte haiñ galā

    kyā maza hai aap talvār meñ

    DhūñD hai kis ne likhā ye hāl-e-dil

    ek katba hai nayā dīvār meñ

    haa.e re hālat umīd-o-bīm

    merī kashtī aaj hai mañjdhār meñ

    milne ko milte haiñ lākhoñ aadmī

    ādamiyyat miltī hai do-chār meñ

    dil-faroshoñ do-rūya bhiiḌ hai

    sair ko nikle haiñ vo bāzār meñ

    maan lo merī ḳhudā ko maan kar

    raat āḳhir ho ga.ī takrār meñ

    barg-e-gul samjhī tire muñh ugaal

    us ko bulbul le uḌī minqār meñ

    kab bujhī is se mire dil lagī

    aab hai to ho tirī talvār meñ

    dil ko bahlāyā ḳhayāl-e-yār se

    mashġhala ye thā firāq-e-yār meñ

    vo bhī bad-ḳhū ye bhī hai nāzuk-mizāj

    ho na kuchh jhagḌā dil-o-dildār meñ

    laakh sehat us pe qurbāñ kījiye

    vo maza hai ishq ke bāzār meñ

    ḳhair darbāñ to vahāñ jaane na de

    paḌ raheñge sāya-e-dīvār meñ

    husn us parda-nashīñ hai kuchh aur

    yuuñ to haiñ lākhoñ hasīñ bāzār meñ

    haa.e kab maqtal meñ laa.e haiñ mujhe

    dam jab baaqī nahīñ talvār meñ

    bahut ab ḳhauf be-kaifī hai

    sāqiyā thoḌī de miqdār meñ

    ab vo samjhe garmī-e-ḳhūn-e-shahīd

    jabki chhāle paḌ ga.e talvār meñ

    kab kisī baat sunte haiñ 'ḳhayāl'

    vo to be-ḳhud haiñ ḳhayāl-e-yār meñ

    din guzarta hai talash-e-yar mein

    kaTti hai shab hasrat-e-didar mein

    jins-e-dil hai pas to gahak bahut

    koi aa hi jaega bazar mein

    kis ke naqsh-e-pa ke ya-rab hai nishan

    gul khile hain kucha-e-aghyar mein

    hae jazb-e-ishq ki nairangiyan

    hazrat-e-yusuf bike bazar mein

    dekhne ko haal kab aae hain aap

    haal jab baqi nahin bazar mein

    ab shabab aaya to farq aane laga

    aap ki guftar mein raftar mein

    shahr mein hun kya kami ma'shuq ki

    KHub-ru hain sainkaDon bazar mein

    shauq se bismil ragaDte hain gala

    kya maza hai aap ki talwar mein

    DhunD hai kis ne likha ye haal-e-dil

    ek katba hai naya diwar mein

    hae re haalat umid-o-bim ki

    meri kashti aaj hai manjdhaar mein

    milne ko milte hain lakhon aadmi

    aadamiyyat milti hai do-chaar mein

    dil-faroshon ki do-ruya bhiD hai

    sair ko nikle hain wo bazar mein

    man lo meri KHuda ko man kar

    raat aaKHir ho gai takrar mein

    barg-e-gul samjhi tere munh ka ugal

    us ko bulbul le uDi minqar mein

    kab bujhi is se mere dil ki lagi

    aab hai to ho teri talwar mein

    dil ko bahlaya KHayal-e-yar se

    mashghala ye tha firaq-e-yar mein

    wo bhi bad-KHu ye bhi hai nazuk-mizaj

    ho na kuchh jhagDa dil-o-dildar mein

    lakh sehat us pe qurban kijiye

    wo maza hai ishq ke bazar mein

    KHair darban to wahan jaane na de

    paD rahenge saya-e-diwar mein

    husn us parda-nashin ka hai kuchh aur

    yun to hain lakhon hasin bazar mein

    hae kab maqtal mein lae hain mujhe

    dam hi jab baqi nahin talwar mein

    pi bahut ab KHauf be-kaifi ka hai

    saqiya thoDi si de miqdar mein

    ab wo samjhe garmi-e-KHun-e-shahid

    jabki chhaale paD gae talwar mein

    kab kisi ki baat sunte hain 'KHayal'

    wo to be-KHud hain KHayal-e-yar mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now