din ka lawa pite pite aaKHir jalne lagta hai
din kā laavā piite piite āḳhir jalne lagtā hai
hote hote shaam samundar roz ubalne lagtā hai
zabt dhuāñ hone lagtā hai angāroñ kī bārish meñ
phuul sā lahja bhī uktā kar aag ugalne lagtā hai
tā'bīroñ ke chehre dekh ke vahshat hone lagtī hai
niiñd meñ koī Dar kar apne ḳhvāb kuchalne lagtā hai
ik chehra aaḌe aa jaatā hai marne kī ḳhvāhish ke
us ko dekh ke jiine kā armān machalne lagtā hai
mushkil ye hai vaqt kī qīmat tab pahchānī jaatī hai
jab hāthoñ se lamha lamha vaqt phisalne lagtā hai
ye bhī hotā hai ġham ke mafhūm badalte jaate haiñ
yuuñ bhī hotā hai ashkoñ kā rang badalne lagtā hai
nam jhoñke namkīn havā ke jism meñ ghulte jaate haiñ
patthar kaisā bhī ho āḳhir-kār pighalne lagtā hai
buuñd ko dariyā meñ kho denā itnā bhī āsān nahīñ
madhoshī tak aate aate hosh sañbhalne lagtā hai
din ka lawa pite pite aaKHir jalne lagta hai
hote hote sham samundar roz ubalne lagta hai
zabt dhuan hone lagta hai angaron ki barish mein
phul sa lahja bhi ukta kar aag ugalne lagta hai
ta'biron ke chehre dekh ke wahshat hone lagti hai
nind mein koi Dar kar apne KHwab kuchalne lagta hai
ek chehra aaDe aa jata hai marne ki KHwahish ke
us ko dekh ke jine ka arman machalne lagta hai
mushkil ye hai waqt ki qimat tab pahchani jati hai
jab hathon se lamha lamha waqt phisalne lagta hai
ye bhi hota hai gham ke mafhum badalte jate hain
yun bhi hota hai ashkon ka rang badalne lagta hai
nam jhonke namkin hawa ke jism mein ghulte jate hain
patthar kaisa bhi ho aaKHir-kar pighalne lagta hai
bund ko dariya mein kho dena itna bhi aasan nahin
madhoshi tak aate aate hosh sanbhalne lagta hai
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 66)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.