aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din ka phul abhi jaga tha

Nasir Kazmi

din ka phul abhi jaga tha

Nasir Kazmi

MORE BYNasir Kazmi

    din phuul abhī jaagā thā

    dhuup haath baḌhā aatā thā

    surḳh chanāroñ ke jañgal meñ

    patthar ik shahr basā thā

    piile pathrīle hāthoñ meñ

    niilī jhiil ā.īna thā

    ThanDī dhuup chhatrī taane

    peḌ ke pīchhe peḌ khaḌā thā

    dhuup ke laal hare hoñToñ ne

    tere bāloñ ko chūmā thā

    tere aks hairānī se

    bahtā chashma Thahar gayā thā

    terī ḳhamoshī shah kar

    maiñ kitnī bāteñ kartā thā

    terī hilāl uñglī pakḌe

    maiñ kosoñ paidal chaltā thā

    āñkhoñ meñ tirī shakl chhupā.e

    maiñ sab se chhuptā phirtā thā

    bhūlī nahīñ us raat dahshat

    charḳh pe jab taarā TuuTā thā

    raat ga.e sone se pahle

    ne mujh se kuchh pūchhā thā

    yuuñ guzrī vo raat bhī jaise

    sapne meñ sapnā dekhā thā

    din ka phul abhi jaga tha

    dhup ka hath baDha aata tha

    surKH chanaron ke jangal mein

    patthar ka ek shahr basa tha

    pile pathrile hathon mein

    nili jhil ka aaina tha

    ThanDi dhup ki chhatri tane

    peD ke pichhe peD khaDa tha

    dhup ke lal hare honTon ne

    tere baalon ko chuma tha

    tere aks ki hairani se

    bahta chashma Thahar gaya tha

    teri KHamoshi ki shah pa kar

    main kitni baaten karta tha

    teri hilal si ungli pakDe

    main koson paidal chalta tha

    aankhon mein teri shakl chhupae

    main sab se chhupta phirta tha

    bhuli nahin us raat ki dahshat

    charKH pe jab tara TuTa tha

    raat gae sone se pahle

    tu ne mujh se kuchh puchha tha

    yun guzri wo raat bhi jaise

    sapne mein sapna dekha tha

    Source:

    Kulliyaat-e-Nasir Kazmi(Pehli Barish) (Pg. E-360 B-47)

    • Author: Nasir Kazmi
      • Edition: 1957
      • Publisher: Nasir Kazmi
      • Year of Publication: 1957
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now