dinon ko joDo mahinon ko sal karte raho
dinoñ ko joḌo mahīnoñ ko saal karte raho
mile jo vaqt to maazī ko haal karte raho
jo kho gayā hai use yūñhī rā.egāñ na karo
diloñ meñ baiThe raho aur malāl karte raho
zamīn suntī nahīñ hai to āsmāñ se kaho
javāb koī to degā savāl karte raho
vagarna yūñhī guzar jā.eñge ye roz-o-shab
agar hai jiinā to jiinā muhāl karte raho
ik aa.ina bhī inhīñ pattharoñ meñ rakh do kahīñ
kabhī-kabhār hī ḳhud se visāl karte raho
yahāñ tumhārī taraf koī yuuñ na dekhegā
ye jāduoñ kā nagar hai kamāl karte raho
tumhāre sukh meñ hamārā bhī sukh hai jān-e-man
hamārā kyā hai tum apnā ḳhayāl karte raho
dinon ko joDo mahinon ko sal karte raho
mile jo waqt to mazi ko haal karte raho
jo kho gaya hai use yunhi raegan na karo
dilon mein baiThe raho aur malal karte raho
zamin sunti nahin hai to aasman se kaho
jawab koi to dega sawal karte raho
wagarna yunhi guzar jaenge ye roz-o-shab
agar hai jina to jina muhaal karte raho
ek aaina bhi inhin pattharon mein rakh do kahin
kabhi-kabhaar hi KHud se visal karte raho
yahan tumhaari taraf koi yun na dekhega
ye jaduon ka nagar hai kamal karte raho
tumhaare sukh mein hamara bhi sukh hai jaan-e-man
hamara kya hai tum apna KHayal karte raho
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 83)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.