diwane ko koi diwana mila hai
divāne ko koī divānā milā hai
ki sab kah rahe haiñ ḳhazānā milā hai
dhadhaktī pahar meñ chalā.e haiñ jab hal
tabhī aap logoñ ko khānā milā hai
kisānoñ kī mehnat ko kyā jaano tum log
binā kuchh kiye tum ko daana milā hai
pasīne kī roTī nahīñ jānte haiñ
navāboñ kā jin ko gharānā milā hai
use kyā zarūrat bhalā naukrī kī
virāsat meñ jis ko ḳhazānā milā hai
safar meñ musalsal guzāre haiñ din tab
hameñ aaj manzar suhānā milā hai
tirī chāl-bāzī na chal pā.egī ab
tujhe ham-safar ab siyānā milā hai
nayā kuchh talāsho na kamre meñ mere
mujhe hisse meñ ghar purānā milā hai
kiye the kisī ne ka.ī vā'de jis meñ
hameñ aaj ḳhat vo purānā milā hai
kareñ kyoñ nasheman charāġhoñ se raushan
jab andhoñ kā ham ko gharānā milā hai
diwane ko koi diwana mila hai
ki sab kah rahe hain KHazana mila hai
dhadhakti pahar mein chalae hain jab hal
tabhi aap logon ko khana mila hai
kisanon ki mehnat ko kya jaano tum log
bina kuchh kiye tum ko dana mila hai
pasine ki roTi nahin jaante hain
nawabon ka jin ko gharana mila hai
use kya zarurat bhala naukri ki
wirasat mein jis ko KHazana mila hai
safar mein musalsal guzare hain din tab
hamein aaj manzar suhana mila hai
teri chaal-bazi na chal paegi ab
tujhe ham-safar ab siyana mila hai
naya kuchh talasho na kamre mein mere
mujhe hisse mein ghar purana mila hai
kiye the kisi ne kai wa'de jis mein
hamein aaj KHat wo purana mila hai
karen kyon nasheman charaghon se raushan
jab andhon ka hum ko gharana mila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.