do chaar din mein gham ko Thikane lagaunga
do chaar din meñ ġham ko Thikāne lagā.ūñgā
is kaam meñ bhī kyā maiñ zamāne lagā.ūñgā
mere liye ye kār-e-vasiyyat bhī shaġhl hai
ik bhiiḌ sī maiñ apne sirhāne lagā.ūñgā
jab tak mirī nigāh hai ahdāf kī taraf
baiThā maiñ Thiik Thiik nishāne lagā.ūñgā
phir yaad aa rahā hai vo bhūlā huā maqām
chakkar vahāñ kā tere bahāne lagā.ūñgā
'ġhā.er' ye sarzamīn bhī lāshoñ se bhar ga.ī
ḳhema kahāñ pe ab maiñ na jaane lagā.ūñgā
do chaar din mein gham ko Thikane lagaunga
is kaam mein bhi kya main zamane lagaunga
mere liye ye kar-e-wasiyyat bhi shaghl hai
ek bhiD si main apne sirhane lagaunga
jab tak meri nigah hai ahdaf ki taraf
baiTha main Thik Thik nishane lagaunga
phir yaad aa raha hai wo bhula hua maqam
chakkar wahan ka tere bahane lagaunga
'ghaer' ye sarzamin bhi lashon se bhar gai
KHema kahan pe ab main na jaane lagaunga
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 54)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.