dobara moajiza ho jaega kya
dobāra mo.ajiza ho jā.egā kyā
vo pāgal phir mirā ho jā.egā kyā
lahū taaza zamīñ par thūkne se
junūñ kā haq adā ho jā.egā kyā
ye dil baitushsharf hai hādsoñ kā
ye dil maskan tirā ho jā.egā kyā
añdherī raat kā dāman jalā kar
charāġhoñ kā bhalā ho jā.egā kyā
tirī āñkhoñ meñ pal-bhar jhāñkne se
mohabbat kā nasha ho jā.egā kyā
jise hāsil kiyā sab kuchh gañvā kar
vo aise hī judā ho jā.egā kyā
zarūrat jis ke aage sar jhukā de
batāo vo ḳhudā ho jā.egā kyā
qayāfa pārsā.ī kā banā kar
tū sach meñ pārsā ho jā.egā kyā
agar maiñ phoḌ duuñ sūraj kī āñkheñ
añdherā jā-ba-jā ho jā.egā kyā
ka.ī rāteñ musalsal jāgne se
tū ik shā.ir baḌā ho jā.egā kyā
mire ik lams kī hiddat pahan kar
vo patthar mom kā ho jā.egā kyā
hamāre be-bizā.at fāsloñ se
ta.alluq nāravā ho jā.egā kyā
vo kahte haiñ banī lamhe meñ duniyā
ye sab kuchh barmalā ho jā.egā kyā
haqīqat meñ tū mere sāmne hai
ye manzar ḳhvāb sā ho jā.egā kyā
'nadīm' ab maan jā ash.ār mat likh
to yūñhī bāvlā ho jā.egā kyā
dobara moajiza ho jaega kya
wo pagal phir mera ho jaega kya
lahu taza zamin par thukne se
junun ka haq ada ho jaega kya
ye dil baitushsharf hai hadson ka
ye dil maskan tera ho jaega kya
andheri raat ka daman jala kar
charaghon ka bhala ho jaega kya
teri aankhon mein pal-bhar jhankne se
mohabbat ka nasha ho jaega kya
jise hasil kiya sab kuchh ganwa kar
wo aise hi juda ho jaega kya
zarurat jis ke aage sar jhuka de
batao wo KHuda ho jaega kya
qayafa parsai ka bana kar
tu sach mein parsa ho jaega kya
agar main phoD dun suraj ki aankhen
andhera ja-ba-ja ho jaega kya
kai raaten musalsal jagne se
tu ek shair baDa ho jaega kya
mere ek lams ki hiddat pahan kar
wo patthar mom ka ho jaega kya
hamare be-bizaat faslon se
talluq narawa ho jaega kya
wo kahte hain bani lamhe mein duniya
ye sab kuchh barmala ho jaega kya
haqiqat mein tu mere samne hai
ye manzar KHwab sa ho jaega kya
'nadim' ab man ja ashaar mat likh
to yunhi bawla ho jaega kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.