aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dosh-e-saba pe kya koi paigham aa gaya

Begum Sultana Zakir Ada

dosh-e-saba pe kya koi paigham aa gaya

Begum Sultana Zakir Ada

MORE BYBegum Sultana Zakir Ada

    dosh-e-sabā pe kyā koī paiġhām aa gayā

    kyā māhtāb aaj sar-e-shām aa gayā

    har shāḳh-e-gul lachaktī hai gulshan āj-kal

    har phuul zabāñ pe tirā naam aa gayā

    khilte rahe haiñ phuul har ik shāḳh-e-gul ke aaj

    shāyad chaman meñ aaj vo gulfām aa gayā

    kaisī mahak hai aaj har ik basī huī

    kyā bāġhbāñ vo aaj sar-e-ām aa gayā

    kaise chhupāte aks jo āñkhoñ meñ thā tirā

    sar ko jhukā.e rakhnā mire kaam aa gayā

    jis se basā huā hai mirā gulshan-e-hayāt

    do-gām chalā thā ki nākām aa gayā

    aTkheliyāñ hai kartī gulistāñ meñ kyoñ sabā

    us isī adā par ilzām aa gayā

    dosh-e-saba pe kya koi paigham aa gaya

    kya mahtab aaj sar-e-sham aa gaya

    har shaKH-e-gul lachakti hai gulshan ki aaj-kal

    har phul ki zaban pe tera nam aa gaya

    khilte rahe hain phul har ek shaKH-e-gul ke aaj

    shayad chaman mein aaj wo gulfam aa gaya

    kaisi mahak hai aaj har ek su basi hui

    kya baghban wo aaj sar-e-am aa gaya

    kaise chhupate aks jo aankhon mein tha tera

    sar ko jhukae rakhna mere kaam aa gaya

    jis se basa hua hai mera gulshan-e-hayat

    do-gam ji chala tha ki nakaam aa gaya

    aTkheliyan hai karti gulistan mein kyon saba

    us ki isi ada par hi ilzam aa gaya

    Source:

    (Pg. 72)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now