dost aane mein baDi der laga di tumne
dost aane meñ baḌī der lagā dī tum ne
dil dukhāne meñ baḌī der lagā dī tum ne
mujh ko duniyā se ga.e ek zamāna guzrā
ġham manāne meñ baḌī der lagā dī tum ne
apnā dil ham to hathelī pe liye baiThe the
āzmāne meñ baḌī der lagā dī tum ne
maiñ ne aahoñ se sañjoya thā mohabbat kā chaman
ḳhaar laane meñ baḌī der lagā dī tum ne
jism ne ruuh se kal pūchh liyā thā 'āfī'
qaid-ḳhāne meñ baḌī der lagā dī tum ne
dost aane mein baDi der laga di tum ne
dil dukhane mein baDi der laga di tum ne
mujh ko duniya se gae ek zamana guzra
gham manane mein baDi der laga di tum ne
apna dil hum to hatheli pe liye baiThe the
aazmane mein baDi der laga di tum ne
main ne aahon se sanjoya tha mohabbat ka chaman
KHar lane mein baDi der laga di tum ne
jism ne ruh se kal puchh liya tha 'afi'
qaid-KHane mein baDi der laga di tum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.