dosti chah dili mehr-o-mohabbat guzri

Mohammad Amaan Nisar

dosti chah dili mehr-o-mohabbat guzri

Mohammad Amaan Nisar

MORE BYMohammad Amaan Nisar

  dostī chaah dilī mehr-o-mohabbat guzrī

  sīdhe muñh baat bhī kartā nahīñ rut guzrī

  ek misra jo paḌhā vasf-e-qad-e-yār meñ ham

  sarv ke sar pe gulistāñ meñ qayāmat guzrī

  ham-nashīñ pūchh na kuchh chup bhalī hai us se

  shab-e-furqat meñ jo kuchh ham pe sa.ūbat guzrī

  sub.h ko naam kisī ne jo liyā is yahāñ

  dil-e-mushtāq pe be-tarah hālat guzrī

  aañkh ham se jo milātā nahīñ vo ā.īna-rū

  ḳhāksāroñ se ye kyā dil meñ kudūrat guzrī

  kabhū laḌtā thā kabhū hañs ke lipaT jaatā thā

  kyuuñ 'nisār' us se ajab rātoñ sohbat guzrī

  dosti chah dili mehr-o-mohabbat guzri

  sidhe munh baat bhi karta nahin rut guzri

  ek misra jo paDha wasf-e-qad-e-yar mein hum

  sarw ke sar pe gulistan mein qayamat guzri

  ham-nashin puchh na kuchh chup hi bhali hai us se

  shab-e-furqat mein jo kuchh hum pe saubat guzri

  subh ko nam kisi ne jo liya is ka yahan

  dil-e-mushtaq pe be-tarah ki haalat guzri

  aankh hum se jo milata nahin wo aaina-ru

  KHaksaron se ye kya dil mein kudurat guzri

  kabhu laDta tha kabhu hans ke lipaT jata tha

  kyun 'nisar' us se ajab raaton ki sohbat guzri

  Source :
  • Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 91)
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY