dosto tumne ajab ye ehtimam-e-gham kiya
dosto tum ne 'ajab ye ehtimām-e-ġham kiyā
qatl sūraj kar diyā phir raat bhar mātam kiyā
yaad rakhegī ye duniyā us ko sadiyoñ dosto
jān-e-bar-haq jis ne de dī sar na lekin ḳham kiyā
kāmyābī kis tarah hotī hameñ hāsil bhalā
sochte aksar rahe ham kaam lekin kam kiyā
kārzār-e-zindagī meñ ḳhud ko ham ne dosto
bārhā sho.ala kiyā to bārhā shabnam kiyā
ek muddat se hamāre darmiyāñ thī dostī
us ne kaise dushmanī kā faisla ik dam kiyā
vahshateñ palne lagīñ 'mas.ūd' saare shahr meñ
jab se milnā aadmī ne aadmī se kam kiyā
dosto tum ne 'ajab ye ehtimam-e-gham kiya
qatl suraj kar diya phir raat bhar matam kiya
yaad rakhegi ye duniya us ko sadiyon dosto
jaan-e-bar-haq jis ne de di sar na lekin KHam kiya
kaamyabi kis tarah hoti hamein hasil bhala
sochte aksar rahe hum kaam lekin kam kiya
karzar-e-zindagi mein KHud ko hum ne dosto
barha shoala kiya to barha shabnam kiya
ek muddat se hamare darmiyan thi dosti
us ne kaise dushmani ka faisla ek dam kiya
wahshaten palne lagin 'masud' sare shahr mein
jab se milna aadmi ne aadmi se kam kiya
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 192)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.