duaen kar ke wo shar ke liye nikalte hain
du'ā.eñ kar ke vo shar ke liye nikalte haiñ
'adū bhī fat.h-o-zafar ke liye nikalte haiñ
ḳhudā kare vo kisī roz ghar pahuñch jaa.eñ
ki ghar se roz jo ghar ke liye nikalte haiñ
ye dil hai ranj-o-masarrat kā ā.ina-ḳhāna
hazār kaam nazar ke liye nikalte haiñ
vo kaun log haiñ tārīkiyāñ uThā.e hue
sitāre jin kī ḳhabar ke liye nikalte haiñ
jo gard raah meñ uḌtī thī vo bhī baiTh ga.ī
huzūr sair-o-safar ke liye nikalte haiñ
maiñ rāstoñ meñ jo itnā hujūm dekhtā huuñ
ye saare log kidhar ke liye nikalte haiñ
du'aen kar ke wo shar ke liye nikalte hain
'adu bhi fath-o-zafar ke liye nikalte hain
KHuda kare wo kisi roz ghar pahunch jaen
ki ghar se roz jo ghar ke liye nikalte hain
ye dil hai ranj-o-masarrat ka aaina-KHana
hazar kaam nazar ke liye nikalte hain
wo kaun log hain tarikiyan uThae hue
sitare jin ki KHabar ke liye nikalte hain
jo gard rah mein uDti thi wo bhi baiTh gai
huzur sair-o-safar ke liye nikalte hain
main raston mein jo itna hujum dekhta hun
ye sare log kidhar ke liye nikalte hain
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 101)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.