Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duaen mangin hain muddaton tak jhuka ke sar hath uTha uTha kar

Goya Faqir Mohammad

duaen mangin hain muddaton tak jhuka ke sar hath uTha uTha kar

Goya Faqir Mohammad

MORE BYGoya Faqir Mohammad

    duā.eñ māñgīñ haiñ muddatoñ tak jhukā ke sar haath uThā uThā kar

    huā huuñ tab maiñ butoñ banda ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar

    duā lab-e-jām ne bhī māñgī subū ne bhī haath uThā uThā kar

    hamārī mahfil meñ aayā saaqī ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar

    dikhāyā vahdat ne apnā jalva duī parda uThā uThā kar

    karūñ maiñ sajda butoñ ke aage ai barahman ḳhudā ḳhudā kar

    haiñ ashk zaḳhmoñ se mere jaarī na dekhī hogī ye ashk-bārī

    banī haiñ chashm-e-pur-āb qātil ye zaḳhm paanī churā churā kar

    kahāñ vo shakleñ kahāñ vo bāteñ kahāñ vo jalse kahāñ vo mahfil

    ye sab sab ḳhvāb thā sāmāñ chhupā liyā bas dikhā dikhā kar

    ba-rañg-e-sāġhar milā diyā muñh jo muñh se tere ḳhafā na honā

    kiyā hai behosh ne saaqī sharāb mujh ko pilā pilā kar

    uThāyā yāroñ ne par na uTThā zamīñ se hargiz hamārā lāsha

    ye kis ne ham ko hai maar Daalā nazar se apnī girā girā kar

    jo pahuñcheñ ham murġh-e-nāma-bar ko to chuTkiyoñ meñ use uḌā de

    agar-che vo tifl kheltā hai par-e-kabūtar uḌā uḌā kar

    pas-az-fanā bhī agar aa.e karūñ sag-e-yār mehmānī

    ki ustaḳhvānoñ ko apne tan meñ rakhā humā se chhupā chhupā kar

    gire agar sar-kashī ho mujh se abhī falak ko zamīñ pe paTkūñ

    ki toḌ Daale maiñ aise miine hazāroñ shīshe uThā uThā kar

    kabhī mire dil se kartī haiñ bal kahī haiñ shāne se ye uljhtīñ

    ġharaz ki zulfoñ ko ne zālim bigāḌā hai sar chaḌhā chaḌhā kar

    shikast likhtā thā naam dil yahī thī tiflī meñ mashq terī

    banā diyā dil-shikan ye tujh ko moallimoñ ne likhā likhā kar

    baḌe gile haiñ ajal ko tujh se masīh ko bhī bahut haiñ shikve

    ki dam meñ ne haiñ maar Daale hazāroñ murde jilā jilā kar

    pilānā paanī jaam zāhid gunāh mashrab meñ hai hamāre

    savāb letā nahīñ hai kyuuñ sharāb mujh ko pilā pilā kar

    nahīñ koī rāzdār ham kiyā na vahshat meñ tujh ko rusvā

    ki daaġh mānind-e-ḳhār-e-māhī badan meñ rakhe chhupā chhupā kar

    gale hazāroñ ne apne kaaTe hazāroñ be-vaj.h ho ga.e ḳhuun

    bahut huā phir yaar nādim kaf-e-hinā.ī dikhā dikhā kar

    nigah sūrat phiro na har hijāb tum mardumuk se sīkho

    ab aao āñkhoñ meñ sair dekho mizha chilman uThā uThā kar

    dikhā ke gul se ezaar ne kiyā dil-e-āshiqāñ ko bulbul

    banā diye gosh ġhairat-e-gul sadā-e-rañgīñ sunā sunā kar

    gunāh kartā hai barmalā kisī se kartā nahīñ hayā

    ḳhudā ko kyā muñh dikhā.egā zarā ai be-hayā hayā kar

    chalā hai mahfil se apne saaqī dikhā.ūñ maiñ apnī ashk-bārī

    karūñ bat-e-mai ko murġh-e-ābī abhī se dariyā bahā bahā kar

    rulā.e barsoñ hañsī jis se dikhā.e gar zulf maar rakkhe

    kare dar-parda raah dil meñ jo dekhe parda uThā uThā kar

    vahī asar hai junūñ ab tak vahī hai laḌkoñ ko ab bhī kāvish

    ki merī miTTī ke roz majnūñ bigāḌte haiñ banā banā kar

    ajab nahīñ nāma-e-amal dilā ho kāġhaz agar ḳhatā ke

    ḳhatā.eñ kiiñ maiñ ne āshkārā kiye haiñ isyāñ chhupā chhupā kar

    asar hai chāh-e-zaqan ulfat ba.ad-e-murdan bhī aah baaqī

    ki kheltī haiñ hamārī miTTī ke Dol laḌke banā banā kar

    kiyā hai poshīda ishq ham ne kisī se dar-parda hai mohabbat

    paḌe hue bistar-e-alam par jo rote haiñ muñh chhupā chhupā kar

    jo ḳhauf tūfān-e-ashk se ab nahīñ hai jaatā na jaa.e qāsid

    ravāñ karūñ sū-e-yār-e-jānī ḳhatoñ nāveñ banā banā kar

    tirā qad ban sakā na hargiz tirī sūrat na bin sakī phir

    agar-che saan.e ne lākhoñ naqshe bigāḌ Daale banā banā kar

    udhar mizha ne lagā.ī barchhī idhar nigāhoñ ne tiir maare

    shikast fauj-e-sabr-e-dil ko ye kis ne āñkheñ laḌā laḌā kar

    kaTī hai goyā shab-e-javānī bas aan pahuñchī hai sub.h-e-pīrī

    bahut ne but-parastī ab ek do din ḳhudā ḳhudā kar

    duaen mangin hain muddaton tak jhuka ke sar hath uTha uTha kar

    hua hun tab main buton ka banda KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar

    dua lab-e-jam ne bhi mangi subu ne bhi hath uTha uTha kar

    hamari mahfil mein aaya saqi KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar

    dikhaya wahdat ne apna jalwa dui ka parda uTha uTha kar

    karun main sajda buton ke aage tu ai barahman KHuda KHuda kar

    hain ashk zaKHmon se mere jari na dekhi hogi ye ashk-bari

    bani hain chashm-e-pur-ab qatil ye zaKHm pani chura chura kar

    kahan wo shaklen kahan wo baaten kahan wo jalse kahan wo mahfil

    ye sab ka sab KHwab ka tha saman chhupa liya bas dikha dikha kar

    ba-rang-e-saghar mila diya munh jo munh se tere KHafa na hona

    kiya hai behosh tu ne saqi sharab mujh ko pila pila kar

    uThaya yaron ne par na uTTha zamin se hargiz hamara lasha

    ye kis ne hum ko hai mar Dala nazar se apni gira gira kar

    jo pahunchen hum murgh-e-nama-bar ko to chuTkiyon mein use uDa de

    agar-che wo tifl khelta hai par-e-kabutar uDa uDa kar

    pas-az-fana bhi agar tu aae karun sag-e-yar mehmani

    ki ustaKHwanon ko apne tan mein rakha huma se chhupa chhupa kar

    gire agar sar-kashi ho mujh se abhi falak ko zamin pe paTkun

    ki toD Dale main aise mine hazaron shishe uTha uTha kar

    kabhi mere dil se karti hain bal kahi hain shane se ye uljhtin

    gharaz ki zulfon ko tu ne zalim bigaDa hai sar chaDha chaDha kar

    shikast likhta tha nam dil ka yahi thi tifli mein mashq teri

    bana diya dil-shikan ye tujh ko moallimon ne likha likha kar

    baDe gile hain ajal ko tujh se masih ko bhi bahut hain shikwe

    ki dam mein tu ne hain mar Dale hazaron murde jila jila kar

    pilana pani ka jam zahid gunah mashrab mein hai hamare

    sawab leta nahin hai kyun tu sharab mujh ko pila pila kar

    nahin koi raazdar hum sa kiya na wahshat mein tujh ko ruswa

    ki dagh manind-e-KHar-e-mahi badan mein rakhe chhupa chhupa kar

    gale hazaron ne apne kaTe hazaron be-wajh ho gae KHun

    bahut hua phir tu yar nadim kaf-e-hinai dikha dikha kar

    nigah ki surat phiro na har su hijab tum mardumuk se sikho

    ab aao aankhon mein sair dekho mizha ki chilman uTha uTha kar

    dikha ke gul se ezar tu ne kiya dil-e-ashiqan ko bulbul

    bana diye gosh ghairat-e-gul sada-e-rangin suna suna kar

    gunah karta hai barmala tu kisi se karta nahin haya tu

    KHuda ko kya munh dikhaega tu zara tu ai be-haya haya kar

    chala hai mahfil se apne saqi dikhaun main apni ashk-bari

    karun bat-e-mai ko murgh-e-abi abhi se dariya baha baha kar

    rulae barson hansi tu jis se dikhae gar zulf mar rakkhe

    kare tu dar-parda rah dil mein jo dekhe parda uTha uTha kar

    wahi asar hai junun ka ab tak wahi hai laDkon ko ab bhi kawish

    ki meri miTTi ke roz majnun bigaDte hain bana bana kar

    ajab nahin nama-e-amal ka dila ho kaghaz agar KHata ke

    KHataen kin main ne aashkara kiye hain isyan chhupa chhupa kar

    asar hai chah-e-zaqan ki ulfat ka baad-e-murdan bhi aah baqi

    ki khelti hain hamari miTTi ke Dol laDke bana bana kar

    kiya hai poshida ishq hum ne kisi se dar-parda hai mohabbat

    paDe hue bistar-e-alam par jo rote hain munh chhupa chhupa kar

    jo KHauf tufan-e-ashk se ab nahin hai jata na jae qasid

    rawan karun su-e-yar-e-jaani KHaton ki nawen bana bana kar

    tera sa qad ban saka na hargiz teri si surat na bin saki phir

    agar-che sane ne lakhon naqshe bigaD Dale bana bana kar

    udhar mizha ne lagai barchhi idhar nigahon ne tir mare

    shikast di fauj-e-sabr-e-dil ko ye kis ne aankhen laDa laDa kar

    kaTi hai goya shab-e-jawani bas aan pahunchi hai subh-e-piri

    bahut si ki tu ne but-parasti ab ek do din KHuda KHuda kar

    Source:

    Diwan-e-Goya(Rekhta Website) (Pg. 81)

      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now