dukh to har ghar mein jata hai
dukh to har ghar meñ jaatā hai
har ghar se us kā naata hai
ek se ik mil jaatā hai to
sukh detā hai sukh paatā hai
rātoñ ko dariyā meñ utar ke
chāñd kise milne aatā hai
chhoḌ ke apnā 'aks parinda
pyaas bujhā ke uḌ jaatā hai
ye merā saaya to nahīñ hai
mere pīchhe kyoñ aatā hai
kis ko maar rakhā hai 'alvī'
kaun ye ġhazleñ bhijvātā hai
dukh to har ghar mein jata hai
har ghar se us ka nata hai
ek se ek mil jata hai to
sukh deta hai sukh pata hai
raaton ko dariya mein utar ke
chand kise milne aata hai
chhoD ke apna 'aks parinda
pyas bujha ke uD jata hai
ye mera saya to nahin hai
mere pichhe kyon aata hai
kis ko mar rakha hai 'alwi'
kaun ye ghazlen bhijwata hai
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 97)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.