Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dukh uThao kitne hi ghar bahaar karne mein

Hasan Akbar Kamal

dukh uThao kitne hi ghar bahaar karne mein

Hasan Akbar Kamal

MORE BYHasan Akbar Kamal

    dukh uThāo kitne ghar bahār karne meñ

    ek pal nahīñ lagtā phuul sab bikharne meñ

    zindagī ho kaisī bhī us se nahīñ bhartā

    varna sirf hotā hai kitnā vaqt marne meñ

    khiḌkiyāñ huiiñ ḳhālī phūloñ aur charāġhoñ se

    kaisā dil taḌaptā hai shahr se guzarne meñ

    vaqt zaḳhm bhartā hai aur yuuñ bhī hotā hai

    umr biit jaatī hai ek zaḳhm bharne meñ

    sab baat dohrānā yuuñ to rasm-e-duniyā hai

    lutf aur hai lekin apnī baat karne meñ

    basī hai vo laḌkī shahr meñ magar ab bhī

    gūñjte haiñ giit us ke har pahāḌī jharne meñ

    dukh uThao kitne hi ghar bahaar karne mein

    ek pal nahin lagta phul sab bikharne mein

    zindagi ho kaisi bhi us se ji nahin bharta

    warna sirf hota hai kitna waqt marne mein

    khiDkiyan huin KHali phulon aur charaghon se

    kaisa dil taDapta hai shahr se guzarne mein

    waqt zaKHm bharta hai aur yun bhi hota hai

    umr bit jati hai ek zaKHm bharne mein

    sab ki baat dohrana yun to rasm-e-duniya hai

    lutf aur hai lekin apni baat karne mein

    ja basi hai wo laDki shahr mein magar ab bhi

    gunjte hain git us ke har pahaDi jharne mein

    Source:

    Khizan mera Mosam (Pg. 171)

    • Author: Hassan Akbar Kamal
      • Edition: 1980
      • Publisher: Seep Publications, karachi
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now