dukhon ka dasht aankhon ka samundar chhoD aaya hun
dukhoñ kā dasht āñkhoñ kā samundar chhoḌ aayā huuñ
jo ghar meñ lā na sakta thā vo bāhar chhoḌ aayā huuñ
tum aglī bārishoñ ke baa'd jākar dekhnā pyāre
tumhārā naam dīvāroñ pe likh kar chhoḌ aayā huuñ
mohabbat kī hai us ghar meñ rihā.ish to nahīñ kī hai
abhī to sirf darvāze pe bistar chhoḌ aayā huuñ
tirī bāñhoñ meñ aa kar bhī yahī mahsūs hotā hai
ki ḳhud ko vaqt ke rahm-o-karam par chhoḌ aayā huuñ
abhī kuchh der meñ phailegī ḳhushbū saarī bastī meñ
vahāñ ke ik darīche meñ gul-e-tar chhoḌ aaya huuñ
ḳhudā-na-ḳhvāsta maiñ bhī agar banbās luuñ 'tābish'
vahāñ kis ko batā.ūñgā bharā ghar chhoḌ aaya huuñ
dukhon ka dasht aankhon ka samundar chhoD aaya hun
jo ghar mein la na sakta tha wo bahar chhoD aaya hun
tum agli barishon ke ba'd jakar dekhna pyare
tumhaara nam diwaron pe likh kar chhoD aaya hun
mohabbat ki hai us ghar mein rihaish to nahin ki hai
abhi to sirf darwaze pe bistar chhoD aaya hun
teri banhon mein aa kar bhi yahi mahsus hota hai
ki KHud ko waqt ke rahm-o-karam par chhoD aaya hun
abhi kuchh der mein phailegi KHushbu sari basti mein
wahan ke ek dariche mein gul-e-tar chhoD aaya hun
KHuda-na-KHwasta main bhi agar banbas lun 'tabish'
wahan kis ko bataunga bhara ghar chhoD aaya hun
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 89)
- Author : Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.