duniya ke janjal na puchh

Aziz Ansari

duniya ke janjal na puchh

Aziz Ansari

MORE BYAziz Ansari

  duniyā ke janjāl na pūchh

  tujh bin merā haal na pūchh

  kis ne liyā sar āñkhoñ par

  kis ne kiyā pāmāl na pūchh

  us āñkhoñ ko paḌh

  kyuuñ hai chehra laal na pūchh

  bikhar gayā reza reza

  jīvan bhauñchāl na pūchh

  mustaqbil ke sapne dekh

  biite māh-o-sāl na pūchh

  jo chāhe hukm sunā

  mujh se mire a.amāl na pūchh

  'mīr' ke ghar hālat dekh

  mere ghar haal na pūchh

  jis ne bachāyā ḳhanjar se

  kis thī vo Dhaal na pūchh

  kaise deñ bachchoñ ko 'azīz'

  sabzī roTī daal na pūchh

  duniya ke janjal na puchh

  tujh bin mera haal na puchh

  kis ne liya sar aankhon par

  kis ne kiya pamal na puchh

  us ki aankhon ko tu paDh

  kyun hai chehra lal na puchh

  bikhar gaya reza reza

  jiwan ka bhaunchaal na puchh

  mustaqbil ke sapne dekh

  bite mah-o-sal na puchh

  tu jo chahe hukm suna

  mujh se mere aamal na puchh

  'mir' ke ghar ki haalat dekh

  mere ghar ka haal na puchh

  jis ne bachaya KHanjar se

  kis ki thi wo Dhaal na puchh

  kaise den bachchon ko 'aziz'

  sabzi roTi dal na puchh

  Source :
  • Book : Bole Meri Gazal (Pg. 93)
  • Author : Aziz Ansari
  • Publication : Aziz Ansari, Station Director Akashvani Jalgaon (2000)
  • Edition : 2000
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY