Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya ko hai yaqin mera waqt-e-zawal hai

Mohammad Javed Ishaati

duniya ko hai yaqin mera waqt-e-zawal hai

Mohammad Javed Ishaati

MORE BYMohammad Javed Ishaati

    duniyā ko hai yaqīñ mirā vaqt-e-zavāl hai

    roz-e-azal ke nuur tirā kyā ḳhayāl hai

    kyā maiñ asīr-e-zulm-o-sitam roz-o-shab nahīñ

    ai rabb-e-zul-jalāl tirā kyā ḳhayāl hai

    sāhil pe ke jis ne safīne jalā diye

    is nāḳhudā ke puḳhta yaqīñ kamāl hai

    tujh se mire charāġh lo bujh na pā.egī

    pāgal havā ke zor tirī kyā majāl hai

    mausam saḳhtiyoñ se bachātī rahī mujhe

    ai maañ tirā ḳhulūs samajhnā muhāl hai

    milte nahīñ haiñ kyoñ tire bheje hue ḳhutūt

    hotā nahīñ yaqīñ mire qāsid chaal hai

    'jāved' bazm-e-sher-o-suḳhan meñ sunā.iye

    vo ik ġhazal jo aap ke fan kamāl hai

    duniya ko hai yaqin mera waqt-e-zawal hai

    roz-e-azal ke nur tera kya KHayal hai

    kya main asir-e-zulm-o-sitam roz-o-shab nahin

    ai rabb-e-zul-jalal tera kya KHayal hai

    sahil pe la ke jis ne safine jala diye

    is naKHuda ke puKHta yaqin ka kamal hai

    tujh se mere charagh ki lo bujh na paegi

    pagal hawa ke zor teri kya majal hai

    mausam ki saKHtiyon se bachati rahi mujhe

    ai man tera KHulus samajhna muhaal hai

    milte nahin hain kyon tere bheje hue KHutut

    hota nahin yaqin mere qasid ki chaal hai

    'jawed' bazm-e-sher-o-suKHan mein sunaiye

    wo ek ghazal jo aap ke fan ka kamal hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now