duniya na chahiye tujhe uqba na chahiye
duniyā na chāhiye tujhe uqbā na chāhiye
aur dil ke be-shi'ār tamanna na chāhiye
maare hai sar-ba-sang to phūTe hai jū-e-shīr
kohkan ye kaun hai jise tesha na chāhiye
josh-e-junūñ meñ jaañ se guzarnā sahī magar
josh-e-junūñ meñ had se guzarnā na chāhiye
kartā hai kaun husn kā duniyā meñ haq adā
vāraftagī ba-tarz-e-zuleḳhā na chāhiye
rindān-e-mai-kada ko mubārak balā-kashī
ham ko sharāb-e-jalva-e-jānāna chāhiye
gardish meñ sāġhar-o-mai-o-mīnā agar nahīñ
'e'jāz' lab pe nā’ra-e-mastāna chāhiye
duniya na chahiye tujhe uqba na chahiye
aur dil ke be-shi'ar tamanna na chahiye
mare hai sar-ba-sang to phuTe hai ju-e-shir
kohkan ye kaun hai jise tesha na chahiye
josh-e-junun mein jaan se guzarna sahi magar
josh-e-junun mein had se guzarna na chahiye
karta hai kaun husn ka duniya mein haq ada
waraftagi ba-tarz-e-zuleKHa na chahiye
rindan-e-mai-kada ko mubarak bala-kashi
hum ko sharab-e-jalwa-e-jaanana chahiye
gardish mein saghar-o-mai-o-mina agar nahin
'e'jaz' lab pe na’ra-e-mastana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.