duniya ne jab bhi rah mein kanTe bichhae hain
duniyā ne jab bhī raah meñ kāñTe bichhā.e haiñ
kāñToñ pe chalne vaale bahut yaad aa.e haiñ
nādīda 'aks dil-zadagāñ ko dikhā.e haiñ
ā.īne TuuT kar bhī bahut kaam aa.e haiñ
chhalkī kahīñ sharāb kahīñ ġhunche khil ga.e
kyā kyā tirī nigāh ne jaadū jagā.e haiñ
ādāb ziist karne ke ġhunchoñ se sīkhiye
mausam ke zaḳhm khaa.e magar muskurā.e haiñ
lau de rahī thī jin kī tamanna hayāt meñ
ab ke vahī charāġh havā ne bujhā.e haiñ
ik baar vo nigāh uThī phir tamām 'umr
ham apnī ḳhvāhishoñ ke lahū meñ nahā.e haiñ
tārīḳh ko batā.egā kal kaun phir 'sirāj'
ye diip ḳhud bujhe ki havā ne bujhā.e haiñ
duniya ne jab bhi rah mein kanTe bichhae hain
kanTon pe chalne wale bahut yaad aae hain
nadida 'aks dil-zadagan ko dikhae hain
aaine TuT kar bhi bahut kaam aae hain
chhalki kahin sharab kahin ghunche khil gae
kya kya teri nigah ne jadu jagae hain
aadab zist karne ke ghunchon se sikhiye
mausam ke zaKHm khae magar muskurae hain
lau de rahi thi jin ki tamanna hayat mein
ab ke wahi charagh hawa ne bujhae hain
ek bar wo nigah uThi phir tamam 'umr
hum apni KHwahishon ke lahu mein nahae hain
tariKH ko bataega kal kaun phir 'siraj'
ye dip KHud bujhe ki hawa ne bujhae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.