duniya se munh moD liya hai
duniyā se muñh moḌ liyā hai
tujh se naata toḌ liyā hai
nazr-e-mohabbat pesh kareñge
dil kā shīsha toḌ liyā hai
jis ko nahīñ hai tujh pe bharosa
us ne muqaddar phoḌ liyā hai
kyoñ na rahe ik kaif kā 'ālam
saaqī se dil joḌ liyā hai
phir vo jān-e-ārzū aayā
phir dil ne ik moḌ liyā hai
sāz-e-nafas kā har ik naġhma
yaad se terī joḌ liyā hai
Dūbne vaalī har kashtī ne
sāhil se ruḳh moḌ liyā hai
'ishq meñ apne dil kā ta'alluq
tere ġham se joḌ liyā hai
'ishq kī hai ye kaun sī manzil
ḳhud se bhī muñh moḌ liyā hai
terī mohabbat meñ 'sādiq' ne
sab se rishta toḌ liyā hai
duniya se munh moD liya hai
tujh se nata toD liya hai
nazr-e-mohabbat pesh karenge
dil ka shisha toD liya hai
jis ko nahin hai tujh pe bharosa
us ne muqaddar phoD liya hai
kyon na rahe ek kaif ka 'alam
saqi se dil joD liya hai
phir wo jaan-e-arzu aaya
phir dil ne ek moD liya hai
saz-e-nafas ka har ek naghma
yaad se teri joD liya hai
Dubne wali har kashti ne
sahil se ruKH moD liya hai
'ishq mein apne dil ka ta'alluq
tere gham se joD liya hai
'ishq ki hai ye kaun si manzil
KHud se bhi munh moD liya hai
teri mohabbat mein 'sadiq' ne
sab se rishta toD liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.