dushman ka ghar nahin ye mera hi makan to hai
dushman ka ghar nahin ye mera hi makan to hai
Nityanand Vajpayee Upmanyu
MORE BYNityanand Vajpayee Upmanyu
dushman kā ghar nahīñ ye mirā hī makāñ to hai
rah-rah ke uTh rahā vo yahīñ kā dhuāñ to hai
āvāz aa rahī hai mujhe dardnāk jo
muflis kī ho na ho ye kisī kī fuġhāñ to hai
pī kar ke niir jis kā sabhī kī miTe thakān
khaliyān meñ abhī vo purānā kuaañ to hai
dushman ka ghar nahin ye mera hi makan to hai
rah-rah ke uTh raha wo yahin ka dhuan to hai
aawaz aa rahi hai mujhe dardnak jo
muflis ki ho na ho ye kisi ki fughan to hai
pi kar ke nir jis ka sabhi ki miTe thakan
khaliyan mein abhi wo purana kuan to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.