aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dushwar hai ab rasta aasan se aage

Ejaz Gul

dushwar hai ab rasta aasan se aage

Ejaz Gul

MORE BYEjaz Gul

    dushvār hai ab rāstā āsān se aage

    rakh umar-e-kuhan pichhlā qadam dhyān se aage

    aTkā huā sūraj hai isī ek sabaq par

    baḌhtā nahīñ din raat gardān se aage

    qismat ḳharābī hai ki jaatā huuñ ġhalat samt

    paḌtā hai bayābān bayābān se aage

    pahuñchā to nahīñ maiñ dar-e-vaslat pe magar haañ

    suntā huuñ kahīñ hai shab-e-hijrān se aage

    na taḳht na ābād koī shahr sabā

    ik girya hai dīvār-e-sulaimān se aage

    ḳhamyāza hai is ādat-e-isrāf aur bas

    jo be-sar-o-sāmānī hai sāmān se aage

    kal shor bapā dil meñ thā pahchān ḳhātir

    ab sakta hai āzār pahchān se aage

    niklī na kisī ek ta.abīr muāfiq

    sau ḳhvāb the har ḳhvāb-e-pareshān se aage

    dushwar hai ab rasta aasan se aage

    rakh umar-e-kuhan pichhla qadam dhyan se aage

    aTka hua suraj hai isi ek sabaq par

    baDhta nahin din raat ki gardan se aage

    qismat ki KHarabi hai ki jata hun ghalat samt

    paDta hai bayaban bayaban se aage

    pahuncha to nahin main dar-e-waslat pe magar han

    sunta hun kahin hai shab-e-hijran se aage

    na taKHt na aabaad koi shahr saba ka

    ek girya hai diwar-e-sulaiman se aage

    KHamyaza hai is aadat-e-israf ka aur bas

    jo be-sar-o-samani hai saman se aage

    kal shor bapa dil mein tha pahchan ki KHatir

    ab sakta hai aazar ka pahchan se aage

    nikli na kisi ek ki tabir muafiq

    sau KHwab the har KHwab-e-pareshan se aage

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now