Dub kar par utar gae hain hum
Duub kar paar utar ga.e haiƱ ham
log samjhe ki mar ga.e haiƱ ham
ai Ä”ham-e-dahr terÄ kyÄ hogÄ
ye agar sach hai mar ga.e haiƱ ham
įø³hair-maqdam kiyÄ havÄdis ne
zindagī meƱ jidhar ga.e haiƱ ham
yÄ bigaįø kar ujaįø ga.e haiƱ log
yÄ bigaįø kar saƱvar ga.e haiƱ ham
maut ko muƱh dikhÄ.eƱ kyÄ yÄ rab
zindagī hī meƱ mar ga.e haiƱ ham
haa.e kyÄ shai hai nashsha-e-mai bhÄ«
farsh se arsh par ga.e haiƱ ham
ÄrzÅ«oƱ kÄ« aag meƱ jal kar
aur bhī kuchh nikhar ga.e haiƱ ham
jab bhÄ« ham ko kiyÄ gayÄ mahbÅ«s
misl-e-nik.hat bikhar ga.e haiƱ ham
shÄdmÄnÄ« ke raƱg-mahloƱ meƱ
'shÄd' bÄ-chashm-e-tar ga.e haiƱ ham
Dub kar par utar gae hain hum
log samjhe ki mar gae hain hum
ai gham-e-dahr tera kya hoga
ye agar sach hai mar gae hain hum
KHair-maqdam kiya hawadis ne
zindagi mein jidhar gae hain hum
ya bigaD kar ujaD gae hain log
ya bigaD kar sanwar gae hain hum
maut ko munh dikhaen kya ya rab
zindagi hi mein mar gae hain hum
hae kya shai hai nashsha-e-mai bhi
farsh se arsh par gae hain hum
aarzuon ki aag mein jal kar
aur bhi kuchh nikhar gae hain hum
jab bhi hum ko kiya gaya mahbus
misl-e-nikhat bikhar gae hain hum
shadmani ke rang-mahlon mein
'shad' ba-chashm-e-tar gae hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.