Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dubne walo hawaon ka hunar kaisa laga

Qaisarul Jafri

Dubne walo hawaon ka hunar kaisa laga

Qaisarul Jafri

MORE BYQaisarul Jafri

    Dūbne vaalo havāoñ hunar kaisā lagā

    ye kinārā ye samundar ye bhañvar kaisā lagā

    poñchhte jā.iye dāman se lahū māthe

    sochte jā.iye dīvār ko sar kaisā lagā

    haT ga.ī chhāñv magar log vahīñ baiThe haiñ

    dasht dhuup meñ jaane vo shajar kaisā lagā

    dar-o-dīvār haiñ maiñ huuñ mirī tanhā.ī hai

    chāñdnī raat se pūchho mirā ghar kaisā lagā

    is se pahle kabhī poñchhe the kisī ne aañsū

    un dāman tujhe ai dīda-e-tar kaisā lagā

    sahl thiiñ marhala-e-tark-e-vafā tak rāheñ

    is se aage koī pūchhe ki safar kaisā lagā

    aañkh se dekh liyā tark-e-vatan manzar

    ghar jahāñ chhoḌ ga.e the vo khañDar kaisā lagā

    vo mujhe sun ke baḌī der se chup hai 'qaisar'

    jaane us ko mirī ġhazloñ hunar kaisā lagā

    Dubne walo hawaon ka hunar kaisa laga

    ye kinara ye samundar ye bhanwar kaisa laga

    ponchhte jaiye daman se lahu mathe ka

    sochte jaiye diwar ko sar kaisa laga

    haT gai chhanw magar log wahin baiThe hain

    dasht ki dhup mein jaane wo shajar kaisa laga

    dar-o-diwar hain main hun meri tanhai hai

    chandni raat se puchho mera ghar kaisa laga

    is se pahle kabhi ponchhe the kisi ne aansu

    un ka daman tujhe ai dida-e-tar kaisa laga

    sahl thin marhala-e-tark-e-wafa tak rahen

    is se aage koi puchhe ki safar kaisa laga

    aankh se dekh liya tark-e-watan ka manzar

    ghar jahan chhoD gae the wo khanDar kaisa laga

    wo mujhe sun ke baDi der se chup hai 'qaisar'

    jaane us ko meri ghazlon ka hunar kaisa laga

    Source:

    Agar Darya Mila Hota (Pg. 37)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now