Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dubte suraj ka manzar wo suhani kashtiyan

Shamim Farooqui

Dubte suraj ka manzar wo suhani kashtiyan

Shamim Farooqui

MORE BYShamim Farooqui

    Dūbte sūraj manzar vo suhānī kashtiyāñ

    phir bulātī haiñ kisī ko bādbānī kashtiyāñ

    ik ajab sailāb dil ke nihāñ-ḳhāne meñ thā

    ret sāhil duur tak paanī paanī kashtiyāñ

    mauj-e-dariyā ne kahā kyā sāhiloñ se kyā milā

    kah ga.iiñ kal raat sab apnī kahānī kashtiyāñ

    ḳhāmushī se Dūbne vaale hameñ kyā de ga.e

    ek anjāne safar kuchh nishānī kashtiyāñ

    ek din aisā bhī aayā halqa-e-girdāb meñ

    kasmasā kar rah ga.iiñ ḳhvāboñ dhānī kashtiyāñ

    aaj bhī ashkoñ ke is gahre samundar meñ 'shamīm'

    tairtī phirtī haiñ yādoñ purānī kashtiyāñ

    Dubte suraj ka manzar wo suhani kashtiyan

    phir bulati hain kisi ko baadbani kashtiyan

    ek ajab sailab sa dil ke nihan-KHane mein tha

    ret sahil dur tak pani hi pani kashtiyan

    mauj-e-dariya ne kaha kya sahilon se kya mila

    kah gain kal raat sab apni kahani kashtiyan

    KHamushi se Dubne wale hamein kya de gae

    ek anjaane safar ki kuchh nishani kashtiyan

    ek din aisa bhi aaya halqa-e-girdab mein

    kasmasa kar rah gain KHwabon ki dhani kashtiyan

    aaj bhi ashkon ke is gahre samundar mein 'shamim'

    tairti phirti hain yaadon ki purani kashtiyan

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 687)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now