dur nazron se kya hua koi
duur nazroñ se kyā huā koī
paas kuchh aur aa gayā koī
dard merā na bāñTtā be-shak
haal to dil kā pūchhtā koī
duur kar de jo tīrgī dil kī
diip aisā bhī to jalā koī
yuuñ guzartā hai ek ik lamha
zindagī jaise ho sazā koī
jin ko milnā thā us ko milne se
rok paayā na fāsla koī
rahzanoñ se kare na samjhauta
ab hai aisā bhī rahnumā koī
juz-ajal ke jahāñ meñ ab shāyad
mere ġham kī nahīñ davā koī
dur nazron se kya hua koi
pas kuchh aur aa gaya koi
dard mera na banTta be-shak
haal to dil ka puchhta koi
dur kar de jo tirgi dil ki
dip aisa bhi to jala koi
yun guzarta hai ek ek lamha
zindagi jaise ho saza koi
jin ko milna tha us ko milne se
rok paya na fasla koi
rahzanon se kare na samjhauta
ab hai aisa bhi rahnuma koi
juz-ajal ke jahan mein ab shayad
mere gham ki nahin dawa koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.