dur rahne pe yun aDe kyon ho
duur rahne pe yuuñ aḌe kyoñ ho
aao baiTho pare khaḌe kyoñ ho
tum to hañs kar dikhāne vaale the
aañkh milte hī ro paḌe kyoñ ho
vo jo maidāñ meñ le ke aayā thā
kah rahā hai mujhe laḌe kyoñ ho
tum pe aarī chalānā bantā hai
mere qāmat se tum baḌe kyoñ ho
mujh se pūchhā na ahl-e-gulshan ne
sabz patte kaho jhaḌe kyoñ ho
koī 'ashfāq' vaqt se pūchhe
ḳhastā-hāloñ pe yuuñ kaḌe kyoñ ho
dur rahne pe yun aDe kyon ho
aao baiTho pare khaDe kyon ho
tum to hans kar dikhane wale the
aankh milte hi ro paDe kyon ho
wo jo maidan mein le ke aaya tha
kah raha hai mujhe laDe kyon ho
tum pe aari chalana banta hai
mere qamat se tum baDe kyon ho
mujh se puchha na ahl-e-gulshan ne
sabz patte kaho jhaDe kyon ho
koi 'ashfaq' waqt se puchhe
KHasta-haalon pe yun kaDe kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.