dur virane mein mujhko bhi sada de koi
duur vīrāne meñ mujh ko bhī sadā de koī
chāñd niklā nahīñ shāḳhoñ ko jalā de koī
koī parda hai na rangoñ kī farāvānī hai
dasht kī ret pe tasvīr banā de koī
itnī ūñchā.ī pe buniyād-e-sitam-gārī hai
kaise mumkin hai ki dīvār girā de koī
mujh pe fitrat ke hasīñ raaz hue haiñ raushan
jis tarah chehra lab-e-bām dikhā de koī
kitne sāloñ se maiñ royā nahīñ mātam kar ke
'ġhālib'-o-'mīr' ke ash'ār sunā de koī
dur virane mein mujh ko bhi sada de koi
chand nikla nahin shaKHon ko jala de koi
koi parda hai na rangon ki farawani hai
dasht ki ret pe taswir bana de koi
itni unchai pe buniyaad-e-sitam-gari hai
kaise mumkin hai ki diwar gira de koi
mujh pe fitrat ke hasin raaz hue hain raushan
jis tarah chehra lab-e-baam dikha de koi
kitne salon se main roya nahin matam kar ke
'ghaalib'-o-'mir' ke ash'ar suna de koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.