ek aansu mein tere gham ka ahata karte
ek aañsū meñ tire ġham kā ahāta karte
'umr lag jā.egī is buuñd ko dariyā karte
'ishq meñ jaañ se guzarnā bhī kahāñ hai mushkil
jaan denī ho to 'āshiq nahīñ sochā karte
ek tū hī nazar aatā hai jidhar dekhtā huuñ
aur āñkheñ nahīñ thaktī haiñ tamāsha karte
tū ne ye ḳhitta-e-ḳhāshāk diyā thā maiñ ne
kar diyā ḳhuun pasīna ise duniyā karte
zindagī ne hameñ fursat hī nahīñ dī varna
sāmne tujh ko biThā baiTh ke dekhā karte
ham sazā-vār-e-tamāsha the hameñ dekhnā thā
apne hī qatl kā manzar thā magar kyā karte
ab yahī sochte rahte haiñ bichhaḌ kar tujh se
shāyad aise nahīñ hotā agar aisā karte
shahr ke log ab ilzām tumheñ dete haiñ
ḳhud bure ban ga.e 'āsim' use achchhā karte
ek aansu mein tere gham ka ahata karte
'umr lag jaegi is bund ko dariya karte
'ishq mein jaan se guzarna bhi kahan hai mushkil
jaan deni ho to 'ashiq nahin socha karte
ek tu hi nazar aata hai jidhar dekhta hun
aur aankhen nahin thakti hain tamasha karte
tu ne ye KHitta-e-KHashak diya tha main ne
kar diya KHun pasina ise duniya karte
zindagi ne hamein fursat hi nahin di warna
samne tujh ko biTha baiTh ke dekha karte
hum saza-war-e-tamasha the hamein dekhna tha
apne hi qatl ka manzar tha magar kya karte
ab yahi sochte rahte hain bichhaD kar tujh se
shayad aise nahin hota agar aisa karte
shahr ke log ab ilzam tumhein dete hain
KHud bure ban gae 'asim' use achchha karte
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 79)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.