ek dam dil mein utar jae jo KHanjar aap ka
ek dam dil meñ utar jaa.e jo ḳhanjar aap kā
'farhat-ehsās' apnā ban jaa.e qalandar aap kā
ho ke chaknā-chūr phir pur-nūr honā hai mujhe
kab mire shīshe se Takrā.egā patthar aap kā
raqs merā jism chāhe jis tasavvur meñ kare
raqs ke pesh-e-nazar rahtā hai mehvar aap kā
saḳht hairat meñ paḌe haiñ shahr bhar ke ahl-e-vasl
raat bhar ḳhālī paḌā rahtā hai bistar aap kā
bhiiḌ meñ se sar uThā kar is qadar mat dekhiye
bhiiḌ varna kaaT kar le jā.egī sar aap kā
aap to bas ek shab āġhosh meñ aa jā.iye
sub.h hone tak nikal jā.egā sab Dar aap kā
mujh ko apnī ek qatra hukmrānī chāhiye
aur is ke baa'd phir saarā samundar aap kā
bechtā hai thok meñ tanqīd kā bāzār use
'farhat-ehsās' apne she'roñ meñ hai phuTkar aap kā
ek dam dil mein utar jae jo KHanjar aap ka
'farhat-ehsas' apna ban jae qalandar aap ka
ho ke chakna-chur phir pur-nur hona hai mujhe
kab mere shishe se Takraega patthar aap ka
raqs mera jism chahe jis tasawwur mein kare
raqs ke pesh-e-nazar rahta hai mehwar aap ka
saKHt hairat mein paDe hain shahr bhar ke ahl-e-wasl
raat bhar KHali paDa rahta hai bistar aap ka
bhiD mein se sar uTha kar is qadar mat dekhiye
bhiD warna kaT kar le jaegi sar aap ka
aap to bas ek shab aaghosh mein aa jaiye
subh hone tak nikal jaega sab Dar aap ka
mujh ko apni ek qatra hukmrani chahiye
aur is ke ba'd phir sara samundar aap ka
bechta hai thok mein tanqid ka bazar use
'farhat-ehsas' apne she'ron mein hai phuTkar aap ka
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 25)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.