ek din ye kasa-e-harf-e-dua bhar jaega
ek din ye kāsa-e-harf-e-du'ā bhar jā.egā
yā achānak hī du'ā se dil mirā bhar jā.egā
vo isī raste se aa.egā 'ayādat ko mirī
aur phūloñ se ye saarā rāsta bhar jā.egā
ḳhālī ho jā.eñge saare shahr ik do aan meñ
aur āvāzoñ se dasht-e-be-sadā bhar jā.egā
ism se yā jism se ab ḳhvāb se yā ḳhaak se
ek din koī bhī ye ḳhālī jagah bhar jā.egā
dekhte rahte ho 'ġhā.er' zaḳhm ko kyoñ baar baar
dekhte rahne se pyāre zaḳhm kyā bhar jā.egā
ek din ye kasa-e-harf-e-du'a bhar jaega
ya achanak hi du'a se dil mera bhar jaega
wo isi raste se aaega 'ayaadat ko meri
aur phulon se ye sara rasta bhar jaega
KHali ho jaenge sare shahr ek do aan mein
aur aawazon se dasht-e-be-sada bhar jaega
ism se ya jism se ab KHwab se ya KHak se
ek din koi bhi ye KHali jagah bhar jaega
dekhte rahte ho 'ghaer' zaKHm ko kyon bar bar
dekhte rahne se pyare zaKHm kya bhar jaega
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 104)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.