Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek din zehn mein aaseb phirega aisa

Saqi Faruqi

ek din zehn mein aaseb phirega aisa

Saqi Faruqi

MORE BYSaqi Faruqi

    ek din zehn meñ aaseb phiregā aisā

    ye saman-zār nazar aa.egā sahrā aisā

    maiñ ne kyā ranj diye ashk na lauTā.e mujhe

    ai mire dil koī be-faiz na dekhā aisā

    ek muddat se koī lahar na uTThī mujh meñ

    merī āñkhoñ se chhupā chāñd chehra aisā

    raat kahtī hai mulāqāt na hogī apnī

    koī ḳhvāb na maiñ niiñd maatā aisā

    jism sat.h pe kāġhaz tarah zinda haiñ

    samundar hai na maiñ Dūbne vaalā aisā

    tere chehre pe ujāle saḳhāvat aisī

    aur mirī ruuh meñ nādār añdherā aisā

    har na.e dard poshāk pahan maiñ ne

    jaañ mohazzab na huī maiñ thā barahna aisā

    ek din zehn mein aaseb phirega aisa

    ye saman-zar nazar aaega sahra aisa

    main ne kya ranj diye ashk na lauTae mujhe

    ai mere dil koi be-faiz na dekha aisa

    ek muddat se koi lahar na uTThi mujh mein

    meri aankhon se chhupa chand ka chehra aisa

    raat kahti hai mulaqat na hogi apni

    tu koi KHwab na main nind ka mata aisa

    jism ki sath pe kaghaz ki tarah zinda hain

    tu samundar hai na main Dubne wala aisa

    tere chehre pe ujale ki saKHawat aisi

    aur meri ruh mein nadar andhera aisa

    har nae dard ki poshak pahan li main ne

    jaan mohazzab na hui main tha barahna aisa

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ek din zehn mein aaseb phirega aisa Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque

    ek din zehn mein aaseb phirega aisa Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now