Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ek jharoka KHanda-ba-lab ek ek gali kohram

Majeed Amjad

ek ek jharoka KHanda-ba-lab ek ek gali kohram

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    ek ek jharokā ḳhanda-ba-lab ek ek galī kohrām

    ham lab se lagā kar jaam hue badnām baḌe badnām

    rut badlī ki sadiyāñ lauT aa.iiñ uf yaad kisī yaad

    phir sail-e-zamāñ meñ tair gayā ik naam kisī naam

    dil hai ki ik ajnabī-e-hairāñ tum ho ki parāyā des

    nazroñ kahānī ban na sakīñ hoñToñ pe ruke paiġhām

    rauñdeñ to ye kaliyāñ nīsh-e-balā chūmeñ to ye sho.ale phuul

    ye ġham ye kisī den bhī hai in.aam ajab in.aam

    ai tīrgiyoñ ghūmtī rau koī to rasīlī sub.h

    ai raushniyoñ Doltī lau ik shaam nashīlī shaam

    rah rah ke jiyāle rāhiyoñ ko detā hai ye kaun āvāz

    kaunain hañstī muñDeroñ par tum ho ki ġham-e-ayyām

    be-barg shajar gardūñ taraf phailā.eñ humakte haat

    phūloñ se bharī Dhalvān pe sūkhe paat kareñ bisrām

    ham fikr meñ haiñ is aalam dastūr hai kyā dastūr

    ye kis ko ḳhabar is fikr hai dastūr-e-do-ālam naam

    ek ek jharoka KHanda-ba-lab ek ek gali kohram

    hum lab se laga kar jam hue badnam baDe badnam

    rut badli ki sadiyan lauT aain uf yaad kisi ki yaad

    phir sail-e-zaman mein tair gaya ek nam kisi ka nam

    dil hai ki ek ajnabi-e-hairan tum ho ki paraya des

    nazron ki kahani ban na sakin honTon pe ruke paigham

    raunden to ye kaliyan nish-e-bala chumen to ye shoale phul

    ye gham ye kisi ki den bhi hai inam ajab inam

    ai tirgiyon ki ghumti rau koi to rasili subh

    ai raushniyon ki Dolti lau ek sham nashili sham

    rah rah ke jiyale rahiyon ko deta hai ye kaun aawaz

    kaunain ki hansti munDeron par tum ho ki gham-e-ayyam

    be-barg shajar gardun ki taraf phailaen humakte hat

    phulon se bhari Dhalwan pe sukhe pat karen bisram

    hum fikr mein hain is aalam ka dastur hai kya dastur

    ye kis ko KHabar is fikr ka hai dastur-e-do-alam nam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now