ek ghar mein rahte hain dusre ki chahat mein
ek ghar meñ rahte haiñ dūsre kī chāhat meñ
mashġhala hai yāroñ kā āj-kal mohabbat meñ
sāñs-sāñs marte haiñ us ko yaad karte haiñ
kyā kuchh aur hotā hai sālik-o-riyāzat meñ
dekhiye to sab duniyā mast-alast lagtī hai
jāniye to har insāñ mubtalā hai dahshat meñ
shaam ke charāġhoñ se raushnī ke bāġhoñ se
ham kahāñ nikal aa.e ik udaas hairat meñ
zindagī kī arzānī marg kī farāvānī
aadmī kī nādānī ruuh hai musībat meñ
kitne kaam karne haiñ imtihāñ guzarne haiñ
jī rahe ho tum 'sānī' kis fareb-e-fursat meñ
ek ghar mein rahte hain dusre ki chahat mein
mashghala hai yaron ka aaj-kal mohabbat mein
sans-sans marte hain us ko yaad karte hain
kya kuchh aur hota hai salik-o-riyazat mein
dekhiye to sab duniya mast-alast lagti hai
jaaniye to har insan mubtala hai dahshat mein
sham ke charaghon se raushni ke baghon se
hum kahan nikal aae ek udas hairat mein
zindagi ki arzani marg ki farawani
aadmi ki nadani ruh hai musibat mein
kitne kaam karne hain imtihan guzarne hain
ji rahe ho tum 'sani' kis fareb-e-fursat mein
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 83)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.